Sher of Basit Ali Raja
ek hī shaḳhs gavārā hai zamīñ par mujh ko
vo bhī āvāz lagā.e to palaTtā nahīñ huuñ
ek hi shaKHs gawara hai zamin par mujh ko
wo bhi aawaz lagae to palaTta nahin hun
mujh se milnā hai to us shaḳhs ke hamrāh mileñ
jo mire sāmne to aap kī tā'zīm kare
mujh se milna hai to us shaKHs ke hamrah milen
jo mere samne to aap ki ta'zim kare
aisī vahshat hai mire dost tumhārī tasvīr
aaj dīvār se girte hī jalā dī maiñ se
aisi wahshat hai mere dost tumhaari taswir
aaj diwar se girte hi jala di main se
ḳhāmushī hai har taraf har jā musalsal ḳhāmushī
ḳhāmushī aisī ki ḳhud ko sun nahīñ paatā huuñ maiñ
KHamushi hai har taraf har ja musalsal KHamushi
KHamushi aisi ki KHud ko sun nahin pata hun main