Sher of Devang Thakur
yahāñ to phuul bhī aapas meñ baat karte haiñ
tumhāre baaġh meñ bilkul havā kā shor nahīñ
yahan to phul bhi aapas mein baat karte hain
tumhaare bagh mein bilkul hawa ka shor nahin
sab ko batā diyā ki maiñ behad udaas huuñ
itnī sī baat ko bhī ḳhabar kar diyā gayā
sab ko bata diya ki main behad udas hun
itni si baat ko bhi KHabar kar diya gaya
ghar ke andar itne ghar haiñ is ko kaise toḌūñ maiñ
yaar kabūtar rahte haiñ is ghar ke raushan-dānoñ meñ
ghar ke andar itne ghar hain is ko kaise toDun main
yar kabutar rahte hain is ghar ke raushan-danon mein
milnā hai terī ruuh se ham ko badan baġhair
apnā libās-e-jism utāre hue haiñ ham
milna hai teri ruh se hum ko badan baghair
apna libas-e-jism utare hue hain hum
sar paTak kar dekhnā hai ek baar
'ishq ko patthar kahā thā 'mīr' ne
sar paTak kar dekhna hai ek bar
'ishq ko patthar kaha tha 'mir' ne
us musavvir ke hunar ko dekh kar
rang ḳhud meñ bhar liye tasvīr ne
us musawwir ke hunar ko dekh kar
rang KHud mein bhar liye taswir ne
ai saḳht-gīr āñdhī itnā ḳhayāl rakhnā
ik dil bhī jal rahā hai is baam par hamārā
ai saKHt-gir aandhi itna KHayal rakhna
ek dil bhi jal raha hai is baam par hamara