Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Dulhan Begum

1760 | Lucknow, India

Wife of the nawab of Awadh Asaf-ud-Daula, deeply religious and committed to poetry

Wife of the nawab of Awadh Asaf-ud-Daula, deeply religious and committed to poetry

Sher of Dulhan Begum

din kaTā fariyād se aur raat zaarī se kaTī

umr kaTne ko kaTī par kitnī ḳhvārī se kaTī

din kaTa fariyaad se aur raat zari se kaTi

umr kaTne ko kaTi par kitni KHwari se kaTi

bahā hai phuuT ke āñkhoñ se aabla dil

tarī raah se jaatā hai qāfila dil

baha hai phuT ke aankhon se aabla dil ka

tari ki rah se jata hai qafila dil ka

mat karo fikr imārat koī zer-e-falak

ḳhāna-e-dil jo girā hai use ta.amīr karo

mat karo fikr imarat ki koi zer-e-falak

KHana-e-dil jo gira hai use tamir karo

bayāñ maiñ kis se karūñ ke ab gila dil

ye dil dil meñ hovegā faisla dil

bayan main kis se karun ja ke ab gila dil ka

ye dil ka dil hi mein howega faisla dil ka

itne kam-zarf nahīñ ham jo bahakte jāveñ

misl-e-gul jāveñ jidhar jāveñ mahakte jāveñ

itne kam-zarf nahin hum jo bahakte jawen

misl-e-gul jawen jidhar jawen mahakte jawen

phañsā dil zulf meñ ab soiye

shaam ke murde ko kab tak Dhoiye

ja phansa dil zulf mein ab soiye

sham ke murde ko kab tak Dhoiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now