Sher of Ejaz Ahmad
khilaune ḳharīdūñ ki roTī ḳharīdūñ
karūñ kyā maiñ bachchoñ pe jo pyaar aa.e
khilaune KHaridun ki roTi KHaridun
karun kya main bachchon pe jo pyar aae
dīvār ye nafrat ki girā kyuuñ nahīñ dete
insān ko insān banā kyuuñ nahīñ dete
diwar ye nafrat ki gira kyun nahin dete
insan ko insan bana kyun nahin dete
sar-e-bāzār the ham bhī magar biknā nahīñ aayā
kisī maġhrūr hākim kī taraf-dārī nahīñ aa.ī
sar-e-bazar the hum bhi magar bikna nahin aaya
kisi maghrur hakim ki taraf-dari nahin aai
vo lauT jaa.e to ye us kī be-imānī hai
khaḌā huuñ dasht meñ ab bhī kisī shajar ke baġhair
wo lauT jae to ye us ki be-imani hai
khaDa hun dasht mein ab bhi kisi shajar ke baghair
adākārī se jis ko bhī yahāñ kuchh māñgnā aayā
sabhī ne kuchh na kuchh paayā mirī baarī nahīñ aa.ī
adakari se jis ko bhi yahan kuchh mangna aaya
sabhi ne kuchh na kuchh paya meri bari nahin aai