Sher of Fariha Naqvi
ham tohfe meñ ghaḌiyāñ to de dete haiñ
ik duuje ko vaqt nahīñ de paate haiñ
hum tohfe mein ghaDiyan to de dete hain
ek duje ko waqt nahin de pate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
tumhāre rañg phīke paḌ ga.e naañ
mirī āñkhoñ kī vīrānī ke aage
tumhaare rang phike paD gae nan
meri aankhon ki virani ke aage
zamāne ab tire madd-e-muqābil
koī kamzor sī aurat nahīñ hai
zamane ab tere madd-e-muqabil
koi kamzor si aurat nahin hai
-
Tag : Aurat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
de rahe haiñ log mere dil pe dastak baar baar
dil magar ye kah rahā hai sirf tū aur sirf tū
de rahe hain log mere dil pe dastak bar bar
dil magar ye kah raha hai sirf tu aur sirf tu
tumheñ paane kī haisiyyat nahīñ hai
magar khone kī bhī himmat nahīñ hai
tumhein pane ki haisiyyat nahin hai
magar khone ki bhi himmat nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
tumheñ patā hai mire haath kī lakīroñ meñ
tumhāre naam ke saare hurūf bante haiñ
tumhein pata hai mere hath ki lakiron mein
tumhaare nam ke sare huruf bante hain
raat se ek soch meñ gum huuñ
kis bahāne tujhe kahūñ aa jā
raat se ek soch mein gum hun
kis bahane tujhe kahun aa ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
tum mirī vahshatoñ ke sāthī the
koī āsān thā tumheñ khonā?
tum meri wahshaton ke sathi the
koi aasan tha tumhein khona?
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
mire hijr ke faisle se Daro tum
maiñ ḳhud meñ ajab hausla dekhtī huuñ
mere hijr ke faisle se Daro tum
main KHud mein ajab hausla dekhti hun
us kī jānib se baḌhā ek qadam
mere sau saal baḌhā detā hai
us ki jaanib se baDha ek qadam
mere sau sal baDha deta hai
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hī na ho
dil bahar-taur use apnā banānā chāhe
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apna banana chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
laḌkhaḌānā nahīñ mujhe phir bhī
tum mirā haath thaam kar rakhnā
laDkhaDana nahin mujhe phir bhi
tum mera hath tham kar rakhna
ham aaj qaus-e-quzah ke mānind ek duuje pe khil rahe haiñ
mujhe to pahle se lag rahā thā ye āsmānoñ kā silsila hai
hum aaj qaus-e-quzah ke manind ek duje pe khil rahe hain
mujhe to pahle se lag raha tha ye aasmanon ka silsila hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
bhalī kyuuñ lage ham ko ḳhushiyoñ kī dastak
abhī ham mohabbat kā ġham kar rahe haiñ
bhali kyun lage hum ko KHushiyon ki dastak
abhi hum mohabbat ka gham kar rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
vo ḳhudā hai to bhalā us se shikāyat kaisī?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhānā chāhe
wo KHuda hai to bhala us se shikayat kaisi?
muqtadir hai wo sitam mujh pe jo Dhana chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
khul kar āḳhir jahl kā elaan honā chāhiye
haq-parastoñ ke liye zindān honā chāhiye
khul kar aaKHir jahl ka elan hona chahiye
haq-paraston ke liye zindan hona chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
hathelī se ThanDā dhuāñ uTh rahā hai
yahī ḳhvāb har martaba dekhtī huuñ
hatheli se ThanDa dhuan uTh raha hai
yahi KHwab har martaba dekhti hun
kis kis phuul kī shādābī ko masḳh karoge bolo!!!
ye to us kī den hai jis ko chāhe vo mahkā.e
kis kis phul ki shadabi ko masKH karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chahe wo mahkae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments