Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hasan Jameel's Photo'

Hasan Jameel

Hasan Jameel

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 6

zindagī bhar dar-o-dīvār sajā.e jaa.eñ

tab kahīñ ke makīnoñ pe makāñ khulte haiñ

zindagi bhar dar-o-diwar sajae jaen

tab kahin ja ke makinon pe makan khulte hain

  • Share this

ma.alūm huā kaise ḳhizāñ aatī hai gul par

sīkhā hai bikharnā tire inkār se maiñ ne

malum hua kaise KHizan aati hai gul par

sikha hai bikharna tere inkar se main ne

  • Share this

ye raushnī yūñhī āġhosh meñ nahīñ aatī

charāġh ban ke muñDeroñ pe jalnā paḌtā hai

ye raushni yunhi aaghosh mein nahin aati

charagh ban ke munDeron pe jalna paDta hai

  • Share this

abhī vo ḳhud ko dekhe jaatā hai aa.ine meñ

abhī kisī se use mohabbat nahīñ huī hai

abhi wo KHud ko hi dekhe jata hai aaine mein

abhi kisi se use mohabbat nahin hui hai

  • Share this

kitnī be-rañg thī duniyā mire ḳhvāboñ 'jamīl'

us ko dekhā hai to āñkhoñ meñ ujālā huā hai

kitni be-rang thi duniya mere KHwabon ki 'jamil'

us ko dekha hai to aankhon mein ujala hua hai

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now