Sher of Inayat Ali Khan
hādse se baḌā sāneha ye huā
koī Thahrā nahīñ hādsa dekh kar
hadse se baDa saneha ye hua
koi Thahra nahin hadsa dekh kar
us ke ruḳhsār pe hai aur tire hoñT pe til
tilmilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
us ke ruKHsar pe hai aur tere honT pe til
tilmilane ki ijazat nahin di jaegi
mafād-e-qaum se nā-āshnā kirdār se aarī
ye be-peñdī ke loTe haiñ jidhar chāheñ luḌhak jaa.eñ
mafad-e-qaum se na-ashna kirdar se aari
ye be-pendi ke loTe hain jidhar chahen luDhak jaen
phir to tum sar pe uThā loge zamāne-bhar ko
sar uThāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
phir to tum sar pe uTha loge zamane-bhar ko
sar uThane ki ijazat nahin di jaegi
is se andesha-e-fardā kī jueñ jhaḌtī haiñ
sar khujāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
is se andesha-e-farda ki juen jhaDti hain
sar khujaane ki ijazat nahin di jaegi
vo close-up to kisī bhī incloser meñ na thā
apne T.V par jo ham ho kar magan dekhā kiye
wo close-up to kisi bhi incloser mein na tha
apne TV par jo hum ho kar magan dekha kiye
yahāñ 'ināyat' aap ko mushā.eron kī daad ne
chaḌhā diyā hai baañs par mazāq hī mazāq meñ
yahan 'inayat' aap ko mushaeron ki dad ne
chaDha diya hai bans par mazaq hi mazaq mein
ye ho saktā nahīñ kyuuñ paas āḳhir
mirā beTā sharī.at bill nahīñ hai
ye ho sakta nahin kyun pas aaKHir
mera beTa shariat bill nahin hai