Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kaleem Haider Sharar's Photo'

Kaleem Haider Sharar

Sher of Kaleem Haider Sharar

ka.ī logoñ ne phalte phūlte peḌoñ se jaanā hai

magar maiñ ne tujhe sabze uryānī se pahchānā

kai logon ne phalte phulte peDon se jaana hai

magar main ne tujhe sabze ki uryani se pahchana

ab is ko zindagī kahiye ki ahd-e-be-hisī kahiye

gharoñ meñ log rote haiñ magar rastoñ pe hañste haiñ

ab is ko zindagi kahiye ki ahd-e-be-hisi kahiye

gharon mein log rote hain magar raston pe hanste hain

yahāñ pe dasht o samundar baat mat karnā

hamāre shahr har shaḳhs hai makān-zada

yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna

hamare shahr ka har shaKHs hai makan-zada

apne darvāze pe baiThā sochtā rahtā huuñ maiñ

merā ghar ajdād bāra-darī karb hai

apne darwaze pe baiTha sochta rahta hun main

mera ghar ajdad ki bara-dari ka karb hai

siskiyāñ bhar ke 'sharar' kaun vahāñ rotā thā

ḳhema-e-ḳhvāb sar-e-shām jahāñ par TuuTā

siskiyan bhar ke 'sharar' kaun wahan rota tha

KHema-e-KHwab sar-e-sham jahan par TuTa

haqīqat hai ise māneñ na māneñ ghaTtī baḌhtī haiñ

vo jhūTī hoñ ki sachchī dāstāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ

haqiqat hai ise manen na manen ghaTti baDhti hain

wo jhuTi hon ki sachchi dastanen ghaTti baDhti hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now