Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majeed Akhtar's Photo'

Majeed Akhtar

England

Sher of Majeed Akhtar

raat bhī chāñd bhī samundar bhī

mil ga.e kitne ġham-gusār mujhe

raat bhi chand bhi samundar bhi

mil gae kitne gham-gusar mujhe

zarā Thahro ki paḌh luuñ kyā likhā mausam bārish ne

mirī dīvār par likhtī rahī hai dāstāñ vo bhī

zara Thahro ki paDh lun kya likha mausam ki barish ne

meri diwar par likhti rahi hai dastan wo bhi

karam ke baab meñ apnoñ se ibtidā kiyā kar

zarā baat pe dil ko na yuuñ burā kiyā kar

karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar

saarā hisāb-e-jān-o-dil rakkhā hai tere sāmne

chāhe to de amaañ mujhe chāhe to darguzar na kar

sara hisab-e-jaan-o-dil rakkha hai tere samne

chahe to de aman mujhe chahe to darguzar na kar

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now