Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Maroof Dehlvi

1748 - 1826 | Delhi, India

Sher of Maroof Dehlvi

50
Favorite

SORT BY

sunte ho ke ham-āġhosh kahā hañs ke tujhe

dard-e-dil hai davā aur bhī darkār ki bas

sunte hi ho ke ham-aghosh kaha hans ke tujhe

dard-e-dil ki hai dawa aur bhi darkar ki bas

maiñ ne aaheñ bharīñ to ruk ke kahā

ghar meñ dhūnī kyā lagā hai

main ne aahen bharin to ruk ke kaha

ghar mein dhuni si kya laga di hai

dard-e-sar meñ hai kise sandal lagāne dimāġh

us ghisnā aur lagānā dard-e-sar ye bhī to hai

dard-e-sar mein hai kise sandal lagane ka dimagh

us ka ghisna aur lagana dard-e-sar ye bhi to hai

terī āñkhoñ ke tasavvur meñ hai sair-e-kaunain

varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte

teri aankhon ke tasawwur mein hai sair-e-kaunain

warna hum log idhar ke idhar ho ke rahte

ashk-e-laḳht-e-jigar āñkhoñ se ravāñ haiñ 'mārūf'

ab koī la.al chune dur-e-mash.hūr chune

ashk-e-laKHt-e-jigar aankhon se rawan hain 'maruf'

ab koi lal chune ya dur-e-mashhur chune

ġhaflat meñ javānī ga.ī piirī meñ huā hosh

kyuuñ kar na khule aañkh sahar to hai āḳhir

ghaflat mein jawani gai piri mein hua hosh

kyun kar na khule aankh sahar hi to hai aaKHir

sab lage us but ko sajda karne ai 'mārūf' aah

kal jidhar māthe pe vo qashqa sidhārā khīñch kar

sab lage us but ko sajda karne ai 'maruf' aah

kal jidhar mathe pe wo qashqa sidhaara khinch kar

hai dil meñ zulf-e-yār ke aalam ko dekhiye

phañste haiñ aap daam meñ ham ham ko dekhiye

hai dil mein zulf-e-yar ke aalam ko dekhiye

phanste hain aap dam mein hum hum ko dekhiye

aañkh Tuk mūñdne de hairat-e-ishq

aisī maiñ TikTikī se dar guzrā

aankh Tuk mundne de hairat-e-ishq

aisi main TikTiki se dar guzra

maiñ nahīñ huuñ shefta-e-husn-e-gandumī

aage se hotī aa.ī hai aadam ko dekhiye

main hi nahin hun shefta-e-husn-e-gandumi

aage se hoti aai hai aadam ko dekhiye

yahāñ to dāġh-e-ḳhūñ dāman se dhoyā ne ai qātil

vahāñ ik din khilegā gul hamārī be-gunāhī

yahan to dagh-e-KHun daman se dhoya tu ne ai qatil

wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka

mazkūr jabki tere tabassum aa paḌā

gulshan meñ tifl-e-ġhuncha-e-dil khilkhilā paḌā

mazkur jabki tere tabassum ka aa paDa

gulshan mein tifl-e-ghuncha-e-dil khilkhila paDa

havā ke ghoḌe pe jab vo savār hote haiñ

to ke vaqt maiñ kyā kyā maze uḌātā huuñ

hawa ke ghoDe pe jab wo sawar hote hain

to pa ke waqt main kya kya maze uData hun

kyuuñ na miTTī ḳharāb ho apnī

is ḳharābāt binā haiñ ham

kyun na miTTi KHarab ho apni

is KHarabaat ki bina hain hum

ka.aba-o-dair ko apnā to yahīñ se hai salām

dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote

kaba-o-dair ko apna to yahin se hai salam

dar-ba-dar kaun phire yar ke dar ke hote

sāqiyā mai kahāñ hai shīshe meñ

raushnī āftāb hai

saqiya mai kahan hai shishe mein

raushni aaftab ki si hai

bole vo apnī shakl ko aap aa.ine meñ dekh

dariyā ke paar aur gulistāñ hai dūsrā

bole wo apni shakl ko aap aaine mein dekh

dariya ke par aur gulistan hai dusra

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now