Sher of Mohammad Baqar Shams
sāmnā jab huā mahshar meñ to kuchh kah na sakā
mujh se dekhā na gayā un kā pareshāñ honā
samna jab hua mahshar mein to kuchh kah na saka
mujh se dekha na gaya un ka pareshan hona
nazar lagne kā un ke vāste ganDā banāne ko
bachā rakkhe haiñ maiñ ne taar kuchh apne garebāñ meñ
nazar lagne ka un ke waste ganDa banane ko
bacha rakkhe hain main ne tar kuchh apne gareban mein
kitne hī pā-e-sanam par kiye sajde maiñ ne
kabhī puurā na huā shauq jabīñ-sā.ī kā
kitne hi pa-e-sanam par kiye sajde main ne
kabhi pura na hua shauq jabin-sai ka
dekhā jo mujh ko pher ke muñh muskurā diye
bijlī girī taḌap ke dil-e-be-qarār par
dekha jo mujh ko pher ke munh muskura diye
bijli giri taDap ke dil-e-be-qarar par
hai gor-e-ġharībāñ meñ vahī 'shams' kā madfan
turbat jo koī dil ke dhaḌakne kī sadā de
hai gor-e-ghariban mein wahi 'shams' ka madfan
turbat jo koi dil ke dhaDakne ki sada de
aañkh saaqī se milī jaise hī mai-ḳhāne meñ
khiñch ke mai aa ga.ī paimāne se paimāne meñ
aankh saqi se mili jaise hi mai-KHane mein
khinch ke mai aa gai paimane se paimane mein
milte hī aañkh us fusūñ-gar se
dil gayā aur hameñ ḳhabar na huī
milte hi aankh us fusun-gar se
dil gaya aur hamein KHabar na hui
hue āġhāz-e-‘ishq hī meñ halāk
ġharq ham ho ga.e lab-e-sāhil
hue aaghaz-e-‘ishq hi mein halak
gharq hum ho gae lab-e-sahil
ḳhaak ke zarroñ se uf uf kī sadā aatī hai
merā afsāna-e-ġham qissa-e-māzī na huā
KHak ke zarron se uf uf ki sada aati hai
mera afsana-e-gham qissa-e-mazi na hua
sab zaḳhm haiñ hare hai lahū se qabā bhī surḳh
laayā hai rang josh-e-junūñ phir bahār meñ
sab zaKHm hain hare hai lahu se qaba bhi surKH
laya hai rang josh-e-junun phir bahaar mein
hashr meñ chhoḌ diyā dekh ke utrā huā muñh
aa chukā thā mire hāthoñ meñ garebāñ un kā
hashr mein chhoD diya dekh ke utra hua munh
aa chuka tha mere hathon mein gareban un ka
kabhī duniyā meñ phir na hogī sahar
hijr kī shab agar sahar na huī
kabhi duniya mein phir na hogi sahar
hijr ki shab agar sahar na hui
aa.e 'adam se gulshan-e-hastī kī sair ko
dāman ulajh gayā hai yahāñ ḳhār-zār meñ
aae 'adam se gulshan-e-hasti ki sair ko
daman ulajh gaya hai yahan KHar-zar mein
mai-noshī haq ne dār-e-baqā meñ bhī kī halāl
kahtā hai shaiḳh dār-e-fanā meñ harām hai
mai-noshi haq ne dar-e-baqa mein bhi ki halal
kahta hai shaiKH dar-e-fana mein haram hai
dam nikaltā hai tirī zulf ke saudā.ī kā
jhilmilātā hai sitāra shab-e-tanhā.ī kā
dam nikalta hai teri zulf ke saudai ka
jhilmilata hai sitara shab-e-tanhai ka
ai ḳhushā 'ahd-e-'adam fikr se āzād the ham
ek din bhī na yahāñ qaid-e-mihan se nikle
ai KHusha 'ahd-e-'adam fikr se aazad the hum
ek din bhi na yahan qaid-e-mihan se nikle
qaabū meñ rakkhe ablaq-e-lail-o-nahār ko
dekhā na maiñ ne aisā kisī shahsavār ko
qabu mein rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekha na main ne aisa kisi shahsawar ko
chārāgar kyā samajh sakeñge bhalā
dard kaisā hai aur davā kyā hai
chaaragar kya samajh sakenge bhala
dard kaisa hai aur dawa kya hai
āñkheñ lagī haiñ dar pe nikaltā nahīñ hai dam
Thahrī huī hai ruuh tire intizār meñ
aankhen lagi hain dar pe nikalta nahin hai dam
Thahri hui hai ruh tere intizar mein
koī vīrāna mire zauq ke qābil na milā
ab kahāñ le ke mujhe jā.egī vahshat merī
koi virana mere zauq ke qabil na mila
ab kahan le ke mujhe jaegi wahshat meri
dekhā jo din ko us ne sū-e-charḳh-e-be-madār
sonā utar gayā varaq-e-āftāb kā
dekha jo din ko us ne su-e-charKH-e-be-madar
sona utar gaya waraq-e-aftab ka
hai 'ajab tarh kī ye kashmakash-e-maut-o-hayāt
na maiñ jiine pe huuñ raazī na vo mar jaane par
hai 'ajab tarh ki ye kashmakash-e-maut-o-hayat
na main jine pe hun raazi na wo mar jaane par
muskurāhaT lab-e-nāzuk pe nigāheñ nīchī
kis se sīkhā hai ye andāz dil-ārā.ī kā
muskurahaT lab-e-nazuk pe nigahen nichi
kis se sikha hai ye andaz dil-arai ka
ḳhauf-e-mahshar na rahā dil meñ jo dekhā maiñ ne
pusht par mere gunāhoñ ke hai rahmat us kī
KHauf-e-mahshar na raha dil mein jo dekha main ne
pusht par mere gunahon ke hai rahmat us ki
kuchh na pūchho darāzī-e-shab-e-hijr
kaT ga.ī 'umr aur sahar na huī
kuchh na puchho daraazi-e-shab-e-hijr
kaT gai 'umr aur sahar na hui
lazzat-e-zindagī vo kyā jaane
jis ko dard-e-jigar nahīñ hotā
lazzat-e-zindagi wo kya jaane
jis ko dard-e-jigar nahin hota
sho'la-e-'ishq agar dil meñ farozāñ ho jaa.e
baḌh ke ye qatra-e-ḳhūñ mahr-e-daraḳhshāñ ho jaa.e
sho'la-e-'ishq agar dil mein farozan ho jae
baDh ke ye qatra-e-KHun mahr-e-daraKHshan ho jae
bijlī girā.ī tuur jalāyā uḌaa.e hosh
itnā jalāl ik arinī ke savāl par
bijli girai tur jalaya uDae hosh
itna jalal ek arini ke sawal par
dekhā jo maiñ ne nāma-e-ā'māl hashr meñ
qissa likhā thā mere aur un ke shabāb kā
dekha jo main ne nama-e-a'mal hashr mein
qissa likha tha mere aur un ke shabab ka
fitna-zā vahshat-fazā dām-e-qazā hote ga.e
jis qadar baḌhte ga.e gesū balā hote ga.e
fitna-za wahshat-faza dam-e-qaza hote gae
jis qadar baDhte gae gesu bala hote gae
hook jab dil se uThī zabt-e-fuġhāñ kar na sakā
raaz is ghar kā jo thā mujh se vo maḳhfī na huā
hook jab dil se uThi zabt-e-fughan kar na saka
raaz is ghar ka jo tha mujh se wo maKHfi na hua