Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Munshi Khairati Laal Shagufta

- 1898

Sher of Munshi Khairati Laal Shagufta

177
Favorite

SORT BY

haT na kar ai duḳht-e-raz betābiyāñ baḌh jā.eñgī

gir paḌegī paañv par dastār-e-mīnā dekhnā

haT na kar ai duKHt-e-raz betabiyan baDh jaengi

gir paDegi panw par dastar-e-mina dekhna

mirī jānib ko karvaT le ke gar mujh se lipaT jaao

abhī dene lage mirī tarah tum ko duā karvaT

meri jaanib ko karwaT le ke gar mujh se lipaT jao

abhi dene lage meri tarah tum ko dua karwaT

na sharmāo āñkheñ milā kar to dekho

mulāqāt hai ham se tum se kabhī

na sharmao aankhen mila kar to dekho

mulaqat hai hum se tum se kabhi ki

ba-shakl-e-nāḳhun-e-añgusht sar kaTāne se

hayāt miltī hai jab intiqāl hotā hai

ba-shakl-e-naKHun-e-angusht sar kaTane se

hayat milti hai jab intiqal hota hai

dekho nigāh-e-shauq se merī taraf mujhe

ye mudda.ā hai aur koī mudda.ā nahīñ

dekho nigah-e-shauq se meri taraf mujhe

ye muddaa hai aur koi muddaa nahin

dil hai nisār mardumak-e-chashm-e-dost par

bīmār ko hai mardum-e-bīmār se ġharaz

dil hai nisar mardumak-e-chashm-e-dost par

bimar ko hai mardum-e-bimar se gharaz

rotā huuñ maiñ tasavvur-e-zulf-e-siyāh meñ

paanī baras rahā hai jame haiñ ghaTā ke rañg

rota hun main tasawwur-e-zulf-e-siyah mein

pani baras raha hai jame hain ghaTa ke rang

adab baḳhshā hai aisā rabt-e-alfāz-e-munāsib ne

do-zānū hai mirī tab-e-rasā tarkīb-e-urdu se

adab baKHsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne

do-zanu hai meri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se

sarishk-e-chashm dikhāte haiñ garmiyāñ apnī

kamī pe jab araq-e-infi.āl hotā hai

sarishk-e-chashm dikhate hain garmiyan apni

kami pe jab araq-e-infial hota hai

jo husn-o-ishq ham-vazn imtihāñ Thahrā

vo be-dahan nazar aayā meñ be-zabāñ Thahrā

jo husn-o-ishq ka ham-wazn imtihan Thahra

wo be-dahan nazar aaya mein be-zaban Thahra

saaf kyā ho sohbat-e-zāhir se bātin ġhubār

muñh nazar aatā nahīñ ā.īna-e-tasvīr meñ

saf kya ho sohbat-e-zahir se baatin ka ghubar

munh nazar aata nahin aaina-e-taswir mein

mujh ko rote dekh kar paas aa.e vo tafhīm ko

kyuuñ na dil se duuñ duā.eñ apne ġhain o miim ko

mujh ko rote dekh kar pas aae wo tafhim ko

kyun na dil se dun duaen apne ghain o mim ko

maiñ vo shaidā-e-gesū huuñ ki aksar mausam-e-gul meñ

mirā pā-e-nazar paḌtā hai zanjīr-e-gulistāñ par

main wo shaida-e-gesu hun ki aksar mausam-e-gul mein

mera pa-e-nazar paDta hai zanjir-e-gulistan par

vo havā-ḳhvāh-e-nasīm-e-zulf huuñ maiñ tīra-baḳht

kyuuñ na marqad par kare dūd-e-charāġh-e-shām raqs

wo hawa-KHwah-e-nasim-e-zulf hun main tira-baKHt

kyun na marqad par kare dud-e-charagh-e-sham raqs

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now