Sher of Nashtar Amrohvi
durgat bane hai chaa.e meñ biscuit kī jis tarah
shādī ke baa'd logo vahī merā haal hai
durgat bane hai chae mein biscuit ki jis tarah
shadi ke ba'd logo wahi mera haal hai
din meñ to kah rahī thī ki tum mere sher ho
aur us ke baa'd ullū banāyā tamām raat
din mein to kah rahi thi ki tum mere sher ho
aur us ke ba'd ullu banaya tamam raat
do chaar manziloñ hī pe sāñseñ ukhaḌ ga.iiñ
ghuTnoñ pe hai zavāl pata chal gayā mujhe
do chaar manzilon hi pe sansen ukhaD gain
ghuTnon pe hai zawal pata chal gaya mujhe
bachchoñ se muñh ko moḌ ke begam to so ga.iiñ
sū-sū har ik ko maiñ ne karāyā tamām raat
bachchon se munh ko moD ke begam to so gain
su-su har ek ko main ne karaya tamam raat
us ne thāne meñ rapaT kuchh aisī likhvā.ī ki bas
phir police ne kī mirī aisī pazīrā.ī ki bas
us ne thane mein rapaT kuchh aisi likhwai ki bas
phir police ne ki meri aisi pazirai ki bas
khā kar ye haal ho gayā hotel kī roTiyāñ
jaise ki haDDiyoñ pe mañDhī merī khaal hai
kha kar ye haal ho gaya hotel ki roTiyan
jaise ki haDDiyon pe manDhi meri khaal hai
vo motiyoñ se daañt vo lambe siyāh baal
naqlī thā saarā maal pata chal gayā mujhe
wo motiyon se dant wo lambe siyah baal
naqli tha sara mal pata chal gaya mujhe
āj-kal kirdār kā me.aar bhī daulat se hai
itnī sastī ho ga.ī dastār-o-dānā.ī ki bas
aaj-kal kirdar ka mear bhi daulat se hai
itni sasti ho gai dastar-o-danai ki bas