Articles of Raiyan Abulolai
Khwaaja Saahab Par Kya Kehti Hain Puraani Kitabein?
Ye mazmoon Khwaaja Moinuddin Chishti ki shakhsiyat aur karaamaat ke taalluq se payi jaane wali baaz bunyadi ghaltiyon aur man-ghadhat kahaniyon ke hawaale se likha gaya hai, is mein ye bataaya gaya hai ki Khwaaja Buzurg se mansoob mukhtalif adwaar ke waqiaat ko kis qadr tod-marod kar pesh kiya gaya hai, chand bunyaadi makhazaat ka bhi zikr kiya gaya hai taaki sawaanehi aur taareekhi kutub se muwaazna kiya ja sake, neez tareekhi shawaahid ki raushni mein in aghlaat ki nishaan-dehi bhi ki gayi hai, is mazmoon ka bunyaadi maqsad ye yaad dilaana hai ki hamein man-ghadhat kahaaniyon ke bajaaye Khwaaja Buzurg ke aala akhlaaq, mohabbat, rawaadaari aur bhaai-chare par mabni un asl taleemat ko aam karna chahiye jo aaj aath sau (800) saal guzarne ke baad bhi muaashre ke liye yaksaan taur par mufeed aur aham hain.