Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rakesh Toofan's Photo'

Rakesh Toofan

Lucknow, India

Sher of Rakesh Toofan

zaḳhm chup-chāp rahegā to rafū bolegā

tum mujhe qatl bhī kar do to lahū bolegā

zaKHm chup-chap rahega to rafu bolega

tum mujhe qatl bhi kar do to lahu bolega

jahāñ pe jhuuT hai nafrat hai be-īmānī hai

vahīñ pe zindagī-bhar zindagī bitānī hai

jahan pe jhuT hai nafrat hai be-imani hai

wahin pe zindagi-bhar zindagi bitani hai

lauTā jab chāñd bhī sūraj bhī ḳhasārā kar ke

ham ne chamkā diyā āñgan ko sitārā kar ke

lauTa jab chand bhi suraj bhi KHasara kar ke

hum ne chamka diya aangan ko sitara kar ke

ajiib baat hai us raat sahar na huī

ka.ī charāg jale raushnī magar na huī

ajib baat hai us raat ki sahar na hui

kai charag jale raushni magar na hui

rasm-e-duniyā ke bayābāñ meñ bichhaḌne vaale

ishq-e-āvāra tujhe DhūñDh rahā hai ab tak

rasm-e-duniya ke bayaban mein bichhaDne wale

ishq-e-awara tujhe DhunDh raha hai ab tak

maiñ shajar dekh ke Dar jaatā huuñ

is qadar dhuup aadat hai mujhe

main shajar dekh ke Dar jata hun

is qadar dhup ki aadat hai mujhe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now