Sher of Reshma Zaidi
mujh se qafas kā darvāza kyā TūTegā
paañv paḌī zanjīr meñ khoī rahtī huuñ
mujh se qafas ka darwaza kya TuTega
panw paDi zanjir mein khoi rahti hun
pahle to tasvīr banātī huuñ terī
phir terī tasvīr meñ khoī rahtī huuñ
pahle to taswir banati hun teri
phir teri taswir mein khoi rahti hun
-
Tag : Tasweer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jism thak haar ke so jaatā hai har shab lekin
zehn ke vāste bistar nahīñ hotā koī
jism thak haar ke so jata hai har shab lekin
zehn ke waste bistar nahin hota koi
chalo ḳhizāoñ meñ zikr-e-bahār karte haiñ
ki be-qarār tabī'at ko kuchh qarār aa.e
chalo KHizaon mein zikr-e-bahaar karte hain
ki be-qarar tabi'at ko kuchh qarar aae
ai kūza-gar de shakl mujhe ik charāġh kī
jis se kisī dayār ko raushan maiñ kar sakūñ
ai kuza-gar de shakl mujhe ek charagh ki
jis se kisi dayar ko raushan main kar sakun
mirī hathelī pe jo hijr kī lakīreñ haiñ
tire visāl se har vaqt roktī haiñ mujhe
meri hatheli pe jo hijr ki lakiren hain
tere visal se har waqt rokti hain mujhe