Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Riyaz Latif's Photo'

Riyaz Latif

1964 | Pune, India

One of the most prominent post-modern poets, living in Gujrat.

One of the most prominent post-modern poets, living in Gujrat.

Sher of Riyaz Latif

yahīñ par ḳhatm honī chāhiye thī ek duniyā

yahīñ se baat āġhāz honā chāhiye thā

yahin par KHatm honi chahiye thi ek duniya

yahin se baat ka aaghaz hona chahiye tha

kisī ne ham ko atā nahīñ hamārī gardish hai apnī gardish

ḳhud apnī marzī se is jahāñ ragoñ meñ girdāb ham hue haiñ

kisi ne hum ko ata nahin ki hamari gardish hai apni gardish

KHud apni marzi se is jahan ki ragon mein girdab hum hue hain

zamīn phail ga.ī hai hamārī ruuh talak

jahāñ shor ab andar sunā.ī detā hai

zamin phail gai hai hamari ruh talak

jahan ka shor ab andar sunai deta hai

ḳhudā ḳhamoshī meñ shāyad ho us vajūd

zamāna huā naam apnā pukāre hue

KHuda ki KHamoshi mein shayad ho us ka wajud

zamana hua nam apna pukare hue

bas lahū buuñd thī ehsās meñ

phir ugāyā dasht ne ik sar nayā

bas lahu ki bund thi ehsas mein

phir ugaya dasht ne ek sar naya

baad meñ rakhe sarāboñ ke dayāroñ meñ qadam

pahle vo saañs sarhad pe to aa kar dekhe

baad mein rakhe sarabon ke dayaron mein qadam

pahle wo sans ki sarhad pe to aa kar dekhe

kabhī to manzaroñ ke is tilism se ubhar sakūñ

khaḌā huuñ dil sat.h par ḳhud apne intizār meñ

kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun

khaDa hun dil ki sath par KHud apne intizar mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now