ALL
Profile
E-book202
Short story233
Article40
Quote107
Afsancha29
Tanz-o-Mazah1
Khaka24
Drama59
Translation2
Video43
Gallery 4
Blog5
Other
Novelette1
Letter10
Saadat Hasan Manto
Short story 233
Article 40
Quote 107

Leader jab aansoo bahaa kar logon se kahte hain ki mazhab khatre mein hai to ismein koi haqeeqat nahi hoti. Mazhab aisi cheez hi nahi ki khatre mein pad sake, agar kisi baat ka khatra hai to woh leaderon ka hai jo apna ulloo seedha karne ke liye mazhab ko khatre mein daalte hain.

Aap shahar mein khubsurat aur nafees gadiyaan dekhte hain... Ye khubsurat aur nafees gadiyaan kooda-karkat uthane ke kaam nahi aa saktin. Gandagi aur ghalaazat utha kar bahar phenkne ke liye aur gadiyaan maujood hain jinhein aap kam dekhte hain aur agar dekhte hain to fauran apni naak par rumaal rakh lete hain... In gadiyon ka wujood zaroori hai aur un aurton ka wujood bhi zaroori hai jo ghalaazat uthaati hain. Agar ye aurtein na hotin to hamaare sab gali-kooche mardon ki ghaleez harakaat se bhare hote.

Zamaane ke jis daur se hum is waqt guzar rahe hain agar aap isse naawaaqif hain to mere afsaane paḍhiye. Agar aap in afsaanon ko bardaasht nahi kar sakte to iska matlab hai ki ye zamaana naaqaabil-e-bardaasht hai... Mujh mein jo buraaiyaan hain, wo is ahd ki buraaiyaan hain... Mere tahreer mein koi naqs nahi. Jis naqs ko mere naam se mansoob kiya jaata hai, dar-asl maujooda nizaam ka naqs hai.