Sher of Sayyada Arshia Haq
tum bhī āḳhir ho mard kyā jaano
ek aurat kā dard kyā jaano
tum bhi aaKHir ho mard kya jaano
ek aurat ka dard kya jaano
aurat ho tum to tum pe munāsib hai chup raho
ye bol ḳhāndān kī izzat pe harf hai
aurat ho tum to tum pe munasib hai chup raho
ye bol KHandan ki izzat pe harf hai
ḳhabar kar de koī us be-ḳhabar ko
mirī hālat bigaḌtī jā rahī hai
KHabar kar de koi us be-KHabar ko
meri haalat bigaDti ja rahi hai
sab yahāñ 'jaun' ke divāne haiñ
'haq' kaho kaun tum ko chāhegā
sab yahan 'jaun' ke diwane hain
'haq' kaho kaun tum ko chahega
yahī duā hai vo merī duā nahīñ suntā
ḳhudā jo hotā agar kyā ḳhudā nahīñ suntā
yahi dua hai wo meri dua nahin sunta
KHuda jo hota agar kya KHuda nahin sunta
jism ko paḌhte rahe vo ruuh tak aa.e nahīñ
'jaun' ko paḌhte rahe 'majrūh' tak aa.e nahīñ
jism ko paDhte rahe wo ruh tak aae nahin
'jaun' ko paDhte rahe 'majruh' tak aae nahin
tumheñ lagtā hai jo vaisī nahīñ huuñ
maiñ achchhī huuñ magar itnī nahīñ huuñ
tumhein lagta hai jo waisi nahin hun
main achchhi hun magar itni nahin hun
tumhāre ḳhat jalā kar ke tumheñ yaksar bhulā dūñgī
tumhāre jurm kī tum ko maiñ is darja sazā dūñgī
tumhaare KHat jala kar ke tumhein yaksar bhula dungi
tumhaare jurm ki tum ko main is darja saza dungi
to kyā huā jo janmī thī pardes meñ kabhī
beTī hai 'arshiya' bhī to hindostān kī
to kya hua jo janmi thi pardes mein kabhi
beTi hai 'arshiya' bhi to hindostan ki
balā kī husn-var hai 'arshiyā-haq'
hasad rakhtī haiñ sab jannat kī hūreñ
bala ki husn-war hai 'arshiya-haq'
hasad rakhti hain sab jannat ki huren
hijāb karne kī bandish mujhe gavārā nahīñ
ki merā jism koī māl-e-zar tumhārā nahīñ
hijab karne ki bandish mujhe gawara nahin
ki mera jism koi mal-e-zar tumhaara nahin
chaman meñ na bulbul kā gūñje tarāna
yahī bāġhbān-e-chaman chāhtā hai
chaman mein na bulbul ka gunje tarana
yahi baghban-e-chaman chahta hai
tumhārā roz jo maiñ sarf kartī rahtī huuñ
tumheñ gumān na ho tum mirī mohabbat ho
tumhaara roz jo main sarf karti rahti hun
tumhein guman na ho tum meri mohabbat ho
'arshiyā-haq' ke parastāroñ meñ ho
tum bhī kāfir ho gunahgāroñ meñ ho
'arshiya-haq' ke parastaron mein ho
tum bhi kafir ho gunahgaron mein ho
apnī sūrat-e-zard chhupātī phirtī huuñ
sab se apnā dard chhupātī phirtī huuñ
apni surat-e-zard chhupati phirti hun
sab se apna dard chhupati phirti hun
maiñ ḳhud pe zabt khotī jā rahī huuñ
judā.ī kyā sitam-ālūd shai hai
main KHud pe zabt khoti ja rahi hun
judai kya sitam-alud shai hai