Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahid Meer's Photo'

Shahid Meer

1949 | Madhya Pradesh, India

An expert of Indian Music and Vocalist.

An expert of Indian Music and Vocalist.

Dohe of Shahid Meer

729
Favorite

SORT BY

jīvan jiinā kaThin hai vish piinā āsān

insāñ ban kar dekh lo o 'shañkar' bhagvān

jiwan jina kaThin hai wish pina aasan

insan ban kar dekh lo o 'shankar' bhagwan

har ik shai be-mel thī kaise bantī baat

āñkhoñ se sapne baḌe niiñd se lambī raat

har ek shai be-mel thi kaise banti baat

aankhon se sapne baDe nind se lambi raat

zehn meñ āñkhoñ meñ dil meñ tirā vajūd

merā to bas naam hai har maujūd

zehn mein tu aankhon mein tu dil mein tera wajud

mera to bas nam hai har ja tu maujud

kāġhaz par likh dījiye apne saare bhed

dil meñ rahe to aañch se ho jā.eñge chhed

kaghaz par likh dijiye apne sare bhed

dil mein rahe to aanch se ho jaenge chhed

āñgan hai jal-thal bahut dīvāroñ par ghaas

ghar ke andar bhī milā 'shāhid' ko banvās

aangan hai jal-thal bahut diwaron par ghas

ghar ke andar bhi mila 'shahid' ko banwas

ta.atīleñ ruḳhsat huiiñ khule sabhī schōl

saḌkoñ par khilne lage pyāre pyāre phuul

tatilen ruKHsat huin khule sabhi school

saDkon par khilne lage pyare pyare phul

'shāhid' likhnā hai mujhe ye kis tārīf

Darā Darā qāfiya sahmī huī radīf

'shahid' likhna hai mujhe ye kis ki tarif

Dara Dara sa qafiya sahmi hui radif

shab guzrī bujhne lagā raushniyoñ shahr

lauTī sāhil taraf thakī thakī ik lahr

shab guzri bujhne laga raushniyon ka shahr

lauTi sahil ki taraf thaki thaki ek lahr

raas aa.ī kuchh is tarah shabdoñ jāgīr

'shāhid' pīchhe rah ga.e aage baḌh ga.e 'mīr'

ras aai kuchh is tarah shabdon ki jagir

'shahid' pichhe rah gae aage baDh gae 'mir'

dard hai daulat tarah ġham Thahrā jāgīr

apnī is jāgīr meñ ḳhush haiñ 'shāhid-mīr'

dard hai daulat ki tarah gham Thahra jagir

apni is jagir mein KHush hain 'shahid-mir'

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now