Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Kamran Zubair Kaamii's Photo'

Syed Kamran Zubair Kaamii

United Kingdom

Syed Kamran Zubair Kaamii

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 8

kahāñ tak saath degī hamārā dasht-e-ġhurbat meñ

tujhe is qaid se ai zindagī āzād karte haiñ

kahan tak sath degi tu hamara dasht-e-ghurbat mein

tujhe is qaid se ai zindagi aazad karte hain

  • Share this

daraḳhshāñ chāñd se ruḳh ne mirī vīrān āñkhoñ meñ

bahut se bhar diye jugnū chamak in meñ ubhar aa.ī

daraKHshan chand se ruKH ne meri viran aankhon mein

bahut se bhar diye jugnu chamak in mein ubhar aai

  • Share this

dil chaTaḳh jaatā hai merā dekhtā huuñ ḳhud ko jab

barsar-e-paikār shīshe meñ khaḌe ik shaḳhs se

dil chaTaKH jata hai mera dekhta hun KHud ko jab

barsar-e-paikar shishe mein khaDe ek shaKHs se

  • Share this

jab nahīñ thā sāmne tere ḳhayāl se

ai chaudhvīñ ke chāñd bahalnā paḌā mujhe

tu jab nahin tha samne tere KHayal se

ai chaudhwin ke chand bahalna paDa mujhe

  • Share this

vo aksar dekhte haiñ bā-dil-e-nā-ḳhvāsta mujh ko

nasīb-e-dushmanāñ yaaro yahāñ tak baat aa pahuñchī

wo aksar dekhte hain ba-dil-e-na-KHwasta mujh ko

nasib-e-dushmanan yaro yahan tak baat aa pahunchi

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now