Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Urooj Zaidi Badayuni's Photo'

Urooj Zaidi Badayuni

1912 - 1987 | Rampur, India

Sher of Urooj Zaidi Badayuni

gayā qarīb jo parvāna rah gayā jal kar

jamāl ḳhaas hadoñ tak jamāl hotā hai

gaya qarib jo parwana rah gaya jal kar

jamal KHas hadon tak jamal hota hai

qadam qadam pe maiñ sambhlā huuñ Thokareñ khā kar

ye Thokaroñ ne batāyā ġhalat-ravī kyā hai

qadam qadam pe main sambhla hun Thokaren kha kar

ye Thokaron ne bataya ghalat-rawi kya hai

is dilbarī shaan ke qurbān jā.iye

ab dil-dahī ko aa.e haiñ jab dil nahīñ rahā

is dilbari ki shan ke qurban jaiye

ab dil-dahi ko aae hain jab dil nahin raha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now