Sher of Zafar Kamali
nigāhoñ meñ jo manzar ho vahī sab kuchh nahīñ hotā
bahut kuchh aur bhī pyāre pas-e-dīvār hotā hai
nigahon mein jo manzar ho wahi sab kuchh nahin hota
bahut kuchh aur bhi pyare pas-e-diwar hota hai
jo chāhtā hai ki ban jaa.e vo baḌā shā.er
vo jā ke dostī gāñThe kisī mudīr ke saath
jo chahta hai ki ban jae wo baDa shaer
wo ja ke dosti ganThe kisi mudir ke sath
shauharoñ se bībayāñ laḌtī haiñ chhāpa-mār jañg
rābta un kā bhī kyā kashmīr kī vaadī se hai
shauharon se bibayan laDti hain chhapa-mar jang
rabta un ka bhi kya kashmir ki wadi se hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo apnā bhaa.ī hai rahtā hai vo paañv kī Thokar meñ
magar jorū kā bhaa.ī to gale kā haar hotā hai
jo apna bhai hai rahta hai wo panw ki Thokar mein
magar joru ka bhai to gale ka haar hota hai
pople muñh se chane khānā nahīñ mumkin huzūr
aa nahīñ saktī javānī lauT ke mājūn se
pople munh se chane khana nahin mumkin huzur
aa nahin sakti jawani lauT ke majun se
vahī sulūk zamāne ne mere saath kiyā
kiyā thā jaisā musharraf ne be-nazīr ke saath
wahi suluk zamane ne mere sath kiya
kiya tha jaisa musharraf ne be-nazir ke sath
ye rishvat ke haiñ paise din meñ kaise luuñ musalmāñ huuñ
maiñ le saktā nahīñ sar apne ye ilzām roze meñ
ye rishwat ke hain paise din mein kaise lun musalman hun
main le sakta nahin sar apne ye ilzam roze mein
jo baiThā hai bagulā bhagat kī tarah
vahī ham ko aslī shikārī lage
jo baiTha hai bagula bhagat ki tarah
wahi hum ko asli shikari lage
vo masjid ho ki mandir ho adab ho yā siyāsat ho
vahī hai jañg kursī kī vahī dastār kā jhagḌā
wo masjid ho ki mandir ho adab ho ya siyasat ho
wahi hai jang kursi ki wahi dastar ka jhagDa
siyāsat meñ aisī uchhal-kūd hai
ki har ek netā madārī lage
siyasat mein aisi uchhal-kud hai
ki har ek neta madari lage
vafūr-e-ishq ke jazbe se ho ga.ī sarshār
nikal paḌī hai murīdan jadīd piir ke saath
wafur-e-ishq ke jazbe se ho gai sarshaar
nikal paDi hai muridan jadid pir ke sath
chhiḌā jab un ke ghar jhagḌā to un kī aql chakrā.ī
jo suljhāte rahe the umr-bhar bāzār kā jhagḌā
chhiDa jab un ke ghar jhagDa to un ki aql chakrai
jo suljhate rahe the umr-bhar bazar ka jhagDa
ḳhabar kar do mohalle meñ agar chheḌā kisī ne bhī
usī dam maiñ machā saktā huuñ qatl-e-ām roze meñ
KHabar kar do mohalle mein agar chheDa kisi ne bhi
usi dam main macha sakta hun qatl-e-am roze mein
is zamāne kī ajab tishna-labī hai ai 'zafar'
pyaas us kī sirf bujhtī hai hamāre ḳhuun se
is zamane ki ajab tishna-labi hai ai 'zafar'
pyas us ki sirf bujhti hai hamare KHun se