Sher of Zarwa Roy
kuchh na kuchh dil ke paas hai terā
tū nahīñ to tirī kamī hai abhī
kuchh na kuchh dil ke pas hai tera
tu nahin to teri kami hai abhi
ye lamha-bhar kī aziyyat kā kyā gila karnā
paḌī hai 'umr abhī aur dil jalāne meñ
ye lamha-bhar ki aziyyat ka kya gila karna
paDi hai 'umr abhi aur dil jalane mein
kis qadar dil-fareb lagtā hai
mujh se vo ham-kalām hotā huā
kis qadar dil-fareb lagta hai
mujh se wo ham-kalam hota hua
saje jo shāḳh-e-tamannā meñ yaad kī ḳhushbū
sameTne kabhī baiThūñ to yūñhī muskā.ūñ
saje jo shaKH-e-tamanna mein yaad ki KHushbu
sameTne kabhi baiThun to yunhi muskaun
kuchh talab thī use mu'āfī kī
aur kuchh maiñ bhī dil-kushāda thī
kuchh talab thi use mu'afi ki
aur kuchh main bhi dil-kushada thi
hameñ bhī shauq thā lafzoñ meñ raushnī bharte
so apne dil ko jalānā paḌā ziyā ke liye
hamein bhi shauq tha lafzon mein raushni bharte
so apne dil ko jalana paDa ziya ke liye
un ko har roz bhulāne kī talab meñ aañsū
shaam hote hī kisī yaad meñ Dhal jaate haiñ
un ko har roz bhulane ki talab mein aansu
sham hote hi kisi yaad mein Dhal jate hain
us haath ne suljhā diye jis din se ḳham-e-zulf
hotī hī nahīñ zulf pareshāñ use kahnā
us hath ne suljha diye jis din se KHam-e-zulf
hoti hi nahin zulf pareshan use kahna
daad is par ki phuul hote hue
kaise patthar banī rahī maiñ bhī
dad is par ki phul hote hue
kaise patthar bani rahi main bhi
ik yād-e-raftagāñ hī nahīñ maqsad-e-hayāt
bazm-e-jahāñ meñ kaam haiñ kuchh aur bhī hameñ
ek yaad-e-raftagan hi nahin maqsad-e-hayat
bazm-e-jahan mein kaam hain kuchh aur bhi hamein
kabhī to ḳhvāb se nikle vujūd ban ke mile
maiñ kab talak koī tasvīr dekhtī jā.ūñ
kabhi to KHwab se nikle wujud ban ke mile
main kab talak koi taswir dekhti jaun
mīsāq-e-tīrgī meñ 'abas raushnī kā saath
phir bhī diyā jalāne kī hasrat rahī bahut
misaq-e-tirgi mein 'abas raushni ka sath
phir bhi diya jalane ki hasrat rahi bahut
umīd-e-vasl hī chhīne hai dil kā chain-o-qarār
ġham-e-firāq to varna sukūñ kā hāsil hai
umid-e-wasl hi chhine hai dil ka chain-o-qarar
gham-e-firaq to warna sukun ka hasil hai
hai ārzū-e-tulū'-e-sahar magar dil meñ
zarā zarā ġham-e-hijrāñ kī shaam hai jānāñ
hai aarzu-e-tulu'-e-sahar magar dil mein
zara zara gham-e-hijran ki sham hai jaanan
kar de jo āshnā mujhe 'ahd-e-'urūj se
vo hasrat-e-zavāl tirī justujū meñ hai
kar de jo aashna mujhe 'ahd-e-'uruj se
wo hasrat-e-zawal teri justuju mein hai