Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zyesha Usmaan

Zyesha Usmaan

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 13

kaisā ye marhala hai ki ik dūsre se ham

kahne ko āshnā haiñ magar āshnā nahīñ

kaisa ye marhala hai ki ek dusre se hum

kahne ko aashna hain magar aashna nahin

baḌī vīrānī hai dil ke shajar par

mohabbat ke parinde uḌ ga.e kyā

baDi virani hai dil ke shajar par

mohabbat ke parinde uD gae kya

  • Share this

har baat dil lab pe nahīñ laanā lāzmī

kuchh guftugū meñ bhī adab ādāb chāhiye

har baat dil ki lab pe nahin lana lazmi

kuchh guftugu mein bhi adab aadab chahiye

  • Share this

ai shaḳhs tujh se tark-e-ta'alluq ġham nahīñ

ġham ye hai maiñ ne ḳhud ko tire saath kho diyā

ai shaKHs tujh se tark-e-ta'alluq ka gham nahin

gham ye hai main ne KHud ko tere sath kho diya

muflisī paañv zanjīr thī aur

rū-ba-rū aa ke zarūrat Thahrī

muflisi panw ki zanjir thi aur

ru-ba-ru aa ke zarurat Thahri

  • Share this

Recitation

Speak Now