Sher of Zyesha Usmaan
kaisā ye marhala hai ki ik dūsre se ham
kahne ko āshnā haiñ magar āshnā nahīñ
kaisa ye marhala hai ki ek dusre se hum
kahne ko aashna hain magar aashna nahin
baḌī vīrānī hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uḌ ga.e kyā
baDi virani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kya
har baat dil kī lab pe nahīñ laanā lāzmī
kuchh guftugū meñ bhī adab ādāb chāhiye
har baat dil ki lab pe nahin lana lazmi
kuchh guftugu mein bhi adab aadab chahiye
kahāñ tak ham nibāheñ zindagī tere masā.ib se
kahāñ tak zeb detā hai kisī kā bā-vafā honā
kahan tak hum nibahen zindagi tere masaib se
kahan tak zeb deta hai kisi ka ba-wafa hona
bujhne nahīñ diyā ise furqat ke baa'd bhī
yādoñ se terī dil ko farozāñ rakhā sadā
bujhne nahin diya ise furqat ke ba'd bhi
yaadon se teri dil ko farozan rakha sada
nā-tavāñ shaḳhs hī paatā hai sazā.eñ aksar
go ḳhatāvār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
na-tawan shaKHs hi pata hai sazaen aksar
go KHatawar bhi hota hai nahin bhi hota
muflisī paañv kī zanjīr thī aur
rū-ba-rū aa ke zarūrat Thahrī
muflisi panw ki zanjir thi aur
ru-ba-ru aa ke zarurat Thahri
tū ne siine se jinheñ aaj lagā rakkhā hai
dil se vo log hī jaa.eñ na utar kis ko ḳhabar
tu ne sine se jinhen aaj laga rakkha hai
dil se wo log hi jaen na utar kis ko KHabar
ai shaḳhs tujh se tark-e-ta'alluq kā ġham nahīñ
ġham ye hai maiñ ne ḳhud ko tire saath kho diyā
ai shaKHs tujh se tark-e-ta'alluq ka gham nahin
gham ye hai main ne KHud ko tere sath kho diya
log ā.eñge bahut chhoḌ ke jā.eñge bahut
har kisī ko na kaleje se lagā kar rakhiye
log aaenge bahut chhoD ke jaenge bahut
har kisi ko na kaleje se laga kar rakhiye
ham ki rakhte haiñ āsmāñ kī talab
aur uḌne kā hausla bhī nahīñ
hum ki rakhte hain aasman ki talab
aur uDne ka hausla bhi nahin
ye alag baat mujhe lauT ke aanā hai yahīñ
tīrgī mujh ko magar phir bhī rihā.ī de de
ye alag baat mujhe lauT ke aana hai yahin
tirgi mujh ko magar phir bhi rihai de de
zindagī ham ne kī basar kuchh yuuñ
shauq kuchh aur mashġhale kuchh aur
zindagi hum ne ki basar kuchh yun
shauq kuchh aur mashghale kuchh aur