aabaad KHarabe mein zara der lagegi
ābād ḳharābe meñ zarā der lagegī
har baat bhulāne meñ zarā der lagegī
be-vaqt kī barsāt se dil baiTh gayā hai
ab ḳhaak uḌāne meñ zarā der lagegī
is baar mirī ruuh pe talvār chalī hai
is baar sañbhalne meñ zarā der lagegī
pal-bhar meñ yahāñ dhuup hai pal-bhar meñ hai saaya
duniyā hai samajhne meñ zarā der lagegī
vo baat jo āñkhoñ se zabāñ tak nahīñ pahuñchī
vo baat batāne meñ zarā der lagegī
aabaad KHarabe mein zara der lagegi
har baat bhulane mein zara der lagegi
be-waqt ki barsat se dil baiTh gaya hai
ab KHak uDane mein zara der lagegi
is bar meri ruh pe talwar chali hai
is bar sanbhalne mein zara der lagegi
pal-bhar mein yahan dhup hai pal-bhar mein hai saya
duniya hai samajhne mein zara der lagegi
wo baat jo aankhon se zaban tak nahin pahunchi
wo baat batane mein zara der lagegi
- Book : Ishq (Pg. 99)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.