aadab ab wafa ke sikhae na jaenge
ādāb ab vafā ke sikhā.e na jā.eñge
ab naaz bevafā ke uThā.e na jā.eñge
kyūñkar yuuñ pūchhte ho pashemāniyāñ mirī
sadme hue jo mujh ko batā.e na jā.eñge
'ahd-e-vafā luTī to muravvat bhī chal basī
ham se ta'alluqāt nibhā.e na jā.eñge
pur-kaif zindagī kabhī merī nahīñ rahī
vo zaḳhm zindagī ke dikhā.e na jā.eñge
yā-rab tū ab ġharīb kī sun le duhā.iyāñ
ab ġham mazīd mujh se uThā.e na jā.eñge
aadab ab wafa ke sikhae na jaenge
ab naz bewafa ke uThae na jaenge
kyunkar yun puchhte ho pashemaniyan meri
sadme hue jo mujh ko batae na jaenge
'ahd-e-wafa luTi to murawwat bhi chal basi
hum se ta'alluqat nibhae na jaenge
pur-kaif zindagi kabhi meri nahin rahi
wo zaKHm zindagi ke dikhae na jaenge
ya-rab tu ab gharib ki sun le duhaiyan
ab gham mazid mujh se uThae na jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.