aaina aks ko ma’kus nahin kar sakta
aa.ina 'aks ko mā’kūs nahīñ kar saktā
so mirī baat vo mahsūs nahīñ kar saktā
chā.e-ḳhāne pe mulāqāt tirī kaafī hai
maiñ tirī zaat ko mahbūs nahīñ kar saktā
jab kabhī mujh ko pukāroge mujhe pāoge
ahl-e-dil ko kabhī māyūs nahīñ kar saktā
agle mele meñ bhalā kis ne kahāñ honā hai
maiñ tujhe ḳhud se bhī mānūs nahīñ kar saktā
log zaḳhmoñ kī numā.ish meñ kahāñ aate haiñ
ab maiñ dāġhoñ ko to fānūs nahīñ kar saktā
aaina 'aks ko ma’kus nahin kar sakta
so meri baat wo mahsus nahin kar sakta
chae-KHane pe mulaqat teri kafi hai
main teri zat ko mahbus nahin kar sakta
jab kabhi mujh ko pukaroge mujhe paoge
ahl-e-dil ko kabhi mayus nahin kar sakta
agle mele mein bhala kis ne kahan hona hai
main tujhe KHud se bhi manus nahin kar sakta
log zaKHmon ki numaish mein kahan aate hain
ab main daghon ko to fanus nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.