aaKHiri bayanon mein aur na pesh-KHwani mein
āḳhirī bayānoñ meñ aur na pesh-ḳhvānī meñ
ham kahīñ nahīñ aate aap kī kahānī meñ
ham tamām raste par bārhā mile lekin
dekh hī nahīñ paa.e aap bad-gumānī meñ
iḳhtilāf kirnoñ kā uuprī dikhāvā thā
ek ho ga.e saare rang gahre paanī meñ
in se tum akele meñ guftugū kiyā karnā
lafz de ke jā.eñge ham tumheñ nishānī meñ
aaj vo parī-chehra baat kar gayā ham se
naam tak nahīñ pūchhā ham ne shādmānī meñ
ek baar rūThe to lauT kar nahīñ aa.e
chuuk ho ga.ī ham se apnī mezbānī meñ
tum zarā se zaḳhmoñ se tilmilā.e baiThe ho
sar kaTā.e baiThe haiñ log haq-bayānī meñ
aaKHiri bayanon mein aur na pesh-KHwani mein
hum kahin nahin aate aap ki kahani mein
hum tamam raste par barha mile lekin
dekh hi nahin pae aap bad-gumani mein
iKHtilaf kirnon ka upri dikhawa tha
ek ho gae sare rang gahre pani mein
in se tum akele mein guftugu kiya karna
lafz de ke jaenge hum tumhein nishani mein
aaj wo pari-chehra baat kar gaya hum se
nam tak nahin puchha hum ne shadmani mein
ek bar ruThe to lauT kar nahin aae
chuk ho gai hum se apni mezbani mein
tum zara se zaKHmon se tilmilae baiThe ho
sar kaTae baiThe hain log haq-bayani mein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 69)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.