aam hoti hai numaish yahan uryani ki
'aam hotī hai numā.ish yahāñ 'uryānī kī
tū ne vahshat meñ kahāñ chāk-garebānī kī
ahl-e-zar sāmne aa jaa.eñ ki iflās chhupe
ham ne tasvīr banānī hai farāvānī kī
'aam āñkhoñ se use dekhnā mumkin hī nahīñ
ham ne jis husn kī mid.hat meñ ġhazal-ḳhvānī kī
us ne tahqīq pe māmūr kiyā hai mujh ko
jis ne manzar meñ numāyāñ mirī hairānī kī
ab ke aayā hai samundar na.ī tuġhyānī meñ
lahr paanī meñ nazar aa.ī nahīñ paanī kī
ġhair-mumkin ko banāyā mirā mumkin 'āsim'
us ne paidā mire imkān meñ āsānī kī
'am hoti hai numaish yahan 'uryani ki
tu ne wahshat mein kahan chaak-garebani ki
ahl-e-zar samne aa jaen ki iflas chhupe
hum ne taswir banani hai farawani ki
'am aankhon se use dekhna mumkin hi nahin
hum ne jis husn ki midhat mein ghazal-KHwani ki
us ne tahqiq pe mamur kiya hai mujh ko
jis ne manzar mein numayan meri hairani ki
ab ke aaya hai samundar nai tughyani mein
lahr pani mein nazar aai nahin pani ki
ghair-mumkin ko banaya mera mumkin 'asim'
us ne paida mere imkan mein aasani ki
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 170)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.