aandhiyon ka karwan chalta raha
āñdhiy.oñ kā kārvāñ chaltā rahā
ek dīpak raat bhar jaltā rahā
hai vo ab sab se ziyāda hī qarīb
'umr bhar jo mujh ko bas khaltā rahā
bas yahī terī haqīqat hai ki tū
ḳhvāb ban kar aañkh meñ paltā rahā
hijr kā 'ālam batā.ūñ kyā tujhe
yaad meñ terī ye dil jaltā rahā
'ishq se sīñchā thā ham ne jo shajar
zard hone par bhī vo phaltā rahā
us taraf ugtā rahā sūraj magar
is taraf sūraj mirā Dhaltā rahā
ik maqām aayā 'safar' meñ aisā bhī
maiñ rukā to rāsta chaltā rahā
aandhiyon ka karwan chalta raha
ek dipak raat bhar jalta raha
hai wo ab sab se ziyaada hi qarib
'umr bhar jo mujh ko bas khalta raha
bas yahi teri haqiqat hai ki tu
KHwab ban kar aankh mein palta raha
hijr ka 'alam bataun kya tujhe
yaad mein teri ye dil jalta raha
'ishq se sincha tha hum ne jo shajar
zard hone par bhi wo phalta raha
us taraf ugta raha suraj magar
is taraf suraj mera Dhalta raha
ek maqam aaya 'safar' mein aisa bhi
main ruka to rasta chalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.