aankh ke kinaron par barishen thin shiddat ki

aankh ke kinaron par barishen thin shiddat ki
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
aañkh ke kināroñ par bārisheñ thiiñ shiddat kī
phir bhī kitnī ḳhālī hai vo nadī mohabbat kī
shā'irī ke chakkar meñ dostoñ ko kho baiThe
'mīr' ke havāle se ham ne ḳhuub mehnat kī
laḌkiyoñ ko takne se baaz hī nahīñ ātīñ
lag ga.ī hai āñkhoñ ko ik havā sī jannat kī
baa'd ek muddat ke mil rahe the ham donoñ
peshgī badan kar ke raat bhar ziyāfat kī
kaam to na thā koī ḳhvāb ke ḳharābe meñ
ham ne rā.egāñ kar dī ek 'umr fursat kī
aankh ke kinaron par barishen thin shiddat ki
phir bhi kitni KHali hai wo nadi mohabbat ki
sha'iri ke chakkar mein doston ko kho baiThe
'mir' ke hawale se hum ne KHub mehnat ki
laDkiyon ko takne se baz hi nahin aatin
lag gai hai aankhon ko ek hawa si jannat ki
ba'd ek muddat ke mil rahe the hum donon
peshgi badan kar ke raat bhar ziyafat ki
kaam to na tha koi KHwab ke KHarabe mein
hum ne raegan kar di ek 'umr fursat ki
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 66)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.