aankhon dekhi hui KHun-rez kahani likh le
āñkhoñ dekhī huī ḳhūñ-rez kahānī likh le
ai vatan likh le koī yaad purānī likh le
aaj bhī kartā hai paiġhām-rasānī likh le
ye kabūtar hai agar shāh-jahānī likh le
shahr kī tujh ko havā raas to aatī bhī nahīñ
apne hisse meñ ye behtar hai kisānī likh le
vo javānī hai mayassar ki thamā.e na thame
terī marzī hai mire ḳhuun ko paanī likh le
dil kā rah jaa.e varaq yūñhī na saada saada
ai zuleḳhā tū use yūsuf-e-sānī likh le
maiñ huuñ ḳhāmosh to ye narm-mizājī hai mirī
mujh ko tālāb kā Thahrā huā paanī likh le
shā'irī terī 'avāmī ho 'avāmī 'saifī'
saḳht alfāz ke āsān ma'ānī likh le
aankhon dekhi hui KHun-rez kahani likh le
ai watan likh le koi yaad purani likh le
aaj bhi karta hai paigham-rasani likh le
ye kabutar hai agar shah-jahani likh le
shahr ki tujh ko hawa ras to aati bhi nahin
apne hisse mein ye behtar hai kisani likh le
wo jawani hai mayassar ki thamae na thame
teri marzi hai mere KHun ko pani likh le
dil ka rah jae waraq yunhi na sada sada
ai zuleKHa tu use yusuf-e-sani likh le
main hun KHamosh to ye narm-mizaji hai meri
mujh ko talab ka Thahra hua pani likh le
sha'iri teri 'awami ho 'awami 'saifi'
saKHt alfaz ke aasan ma'ani likh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.