aao hum tum donon mil kar duniya ko Thukraate hain
aao ham tum donoñ mil kar duniyā ko Thukrāte haiñ
bāhar se zinda rahte haiñ andar se mar jaate haiñ
jaane kab tak sūrat nikle chārāgar ke aane kī
tab tak apnī sāñsoñ se hī zanjīreñ pighlāte haiñ
apnī mad.hoshī kā 'ālam dīvāroñ ne dekhā hai
ham apne dil kā paimāna ḳhalvat meñ chhalkāte haiñ
tujh ko kaḌvī lagtī haiñ to shāyad kaḌvī hī hoñgī
ham to bas terī bātoñ ko jyuuñ kā tyuuñ dohrāte haiñ
duniyā vāloñ se kyā charchā karte apne zaḳhmoñ kā
vo bāteñ karne se to ham ḳhud se bhī katrāte haiñ
yuuñ to tum ko barsoñ pahle ham ne apnā maan liyā
phir bhī ab tak naam tumhārā lene meñ sharmāte haiñ
duniyā vaale hañstā gaatā chehra dekhā karte haiñ
un ko kyā mā'lūm ki ham bhī rote haiñ jhuñjhlāte haiñ
ek akelā dil duniyā kī saarī bāteñ ek taraf
ik chhoTī sī kashtī le kar tūfāñ se Takrāte haiñ
aao hum tum donon mil kar duniya ko Thukraate hain
bahar se zinda rahte hain andar se mar jate hain
jaane kab tak surat nikle chaaragar ke aane ki
tab tak apni sanson se hi zanjiren pighlate hain
apni madhoshi ka 'alam diwaron ne dekha hai
hum apne dil ka paimana KHalwat mein chhalkate hain
tujh ko kaDwi lagti hain to shayad kaDwi hi hongi
hum to bas teri baaton ko jyun ka tyun dohraate hain
duniya walon se kya charcha karte apne zaKHmon ka
wo baaten karne se to hum KHud se bhi katraate hain
yun to tum ko barson pahle hum ne apna man liya
phir bhi ab tak nam tumhaara lene mein sharmate hain
duniya wale hansta gata chehra dekha karte hain
un ko kya ma'lum ki hum bhi rote hain jhunjhlate hain
ek akela dil duniya ki sari baaten ek taraf
ek chhoTi si kashti le kar tufan se Takraate hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 48)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.