aap ziddi hum haTile ho gae
aap ziddī ham haTīle ho ga.e
ek hī ghar meñ qabīle ho ga.e
dushmanī pe jab nikhār aayā kiyā
dostī ke band Dhīle ho ga.e
uñgliyoñ meñ kyoñ jalan hone lagī
phuul bhī shāyad nukīle ho ga.e
raat āñkhoñ se bahut bārish huī
had huī takiye bhī giile ho ga.e
kaun sā jaadū havāoñ ne kiyā
jitne phal the sab rasīle ho ga.e
mausam-e-gul kā hai ye adnā kamāl
laḌkiyoñ ke haath piile ho ga.e
mai-kade se kyā ta'alluq aap kā
aap kyoñ 'saifī' nashīle ho ga.e
aap ziddi hum haTile ho gae
ek hi ghar mein qabile ho gae
dushmani pe jab nikhaar aaya kiya
dosti ke band Dhile ho gae
ungliyon mein kyon jalan hone lagi
phul bhi shayad nukile ho gae
raat aankhon se bahut barish hui
had hui takiye bhi gile ho gae
kaun sa jadu hawaon ne kiya
jitne phal the sab rasile ho gae
mausam-e-gul ka hai ye adna kamal
laDkiyon ke hath pile ho gae
mai-kade se kya ta'alluq aap ka
aap kyon 'saifi' nashile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.