aarzu husn ka shahkar bhi ho jati hai
aarzū husn kā shahkār bhī ho jaatī hai
aur kabhī naqsh-ba-dīvār bhī ho jaatī hai
ham to lab sī leñ magar is kā mudāvā kyā hai
ḳhāmushī ḳhud lab-e-guftār bhī ho jaatī hai
regzāroñ kī kaḌī dhuup musāfir ke liye
'ishrat-e-sāya-e-dīvār bhī ho jaatī hai
gulshan-e-‘aish se hushiyār ki shāḳh-e-nasrīñ
kabhī chaltī huī talvār bhī ho jaatī hai
loriyāñ de ke ḳhayāloñ ko sulāne vaalo
zindagī ḳhvāb se bedār bhī ho jaatī hai
maut vīrānī-e-ehsās ke sannāTe meñ
kabhī pāzeb kī jhankār bhī ho jaatī hai
zindagī ko hadaf-e-jabr banāne vaalo
zindagī barsar-e-paikār bhī ho jaatī hai
sham'-e-ummīd ke bujhne se na ghabrāo 'sirāj'
tīrgī bā'is-e-anvār bhī ho jaatī hai
aarzu husn ka shahkar bhi ho jati hai
aur kabhi naqsh-ba-diwar bhi ho jati hai
hum to lab si len magar is ka mudawa kya hai
KHamushi KHud lab-e-guftar bhi ho jati hai
regzaron ki kaDi dhup musafir ke liye
'ishrat-e-saya-e-diwar bhi ho jati hai
gulshan-e-‘aish se hushiyar ki shaKH-e-nasrin
kabhi chalti hui talwar bhi ho jati hai
loriyan de ke KHayalon ko sulane walo
zindagi KHwab se bedar bhi ho jati hai
maut virani-e-ehsas ke sannaTe mein
kabhi pazeb ki jhankar bhi ho jati hai
zindagi ko hadaf-e-jabr banane walo
zindagi barsar-e-paikar bhi ho jati hai
sham'-e-ummid ke bujhne se na ghabrao 'siraj'
tirgi ba'is-e-anwar bhi ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.