Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to sab kuchh naya naya hai

Mohammad Nadeem Sadiq

ab to sab kuchh naya naya hai

Mohammad Nadeem Sadiq

MORE BYMohammad Nadeem Sadiq

    ab to sab kuchh nayā nayā hai

    bhī kitnā badal gayā hai

    ġhuncha ġhuncha zaḳhm banā hai

    ye kaisā mausam aayā hai

    ab to dil meñ dard basā hai

    ḳhuun to kab suukh chukā hai

    mere paas zarā baiTho tum

    mujh ko ḳhud se Dar lagtā hai

    yuuñ udaas udaas na phirnā

    jaane vaale ne rokā hai

    mujh ko udaas jo dekhā to kab

    jaane vaalā Thahar gayā hai

    yaad us is july meñ

    sard havā ik jhoñkā hai

    us yaad se dil merā

    barf rātoñ meñ jaltā hai

    mujh ko har jānib se 'sādiq'

    tanhā.ī ne aa gherā hai

    ab to sab kuchh naya naya hai

    tu bhi kitna badal gaya hai

    ghuncha ghuncha zaKHm bana hai

    ye kaisa mausam aaya hai

    ab to dil mein dard basa hai

    KHun to kab ka sukh chuka hai

    mere pas zara baiTho tum

    mujh ko KHud se Dar lagta hai

    yun hi udas udas na phirna

    jaane wale ne roka hai

    mujh ko udas jo dekha to kab

    jaane wala Thahar gaya hai

    yaad us ki is july mein

    sard hawa ka ek jhonka hai

    us ki yaad se hi dil mera

    barf si raaton mein jalta hai

    mujh ko har jaanib se 'sadiq'

    tanhai ne aa ghera hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now