ab to yun KHwab ke raston pe qadam rakhta hun
ab to yuuñ ḳhvāb ke rastoñ pe qadam rakhtā huuñ
jis tarah apnī hī āñkhoñ pe qadam rakhtā huuñ
dekhtā huuñ to dahakte hue angāre haiñ
aur chaltā huuñ to phūloñ pe qadam rakhtā huuñ
nashsha aisā hai ki hai laġhzish-e-pā āñkhoñ meñ
laḌkhaḌātā huuñ to shīshoñ pe qadam rakhtā huuñ
andar andar hī koī raah nikaltī hui hai
ye jo maiñ apne hī qadmoñ pe qadam rakhtā huuñ
thartharā uThtī hai paanī kī tarah dil kī zamīñ
yaad ke Dolte rassoñ pe qadam rakhtā huuñ
dil meñ chaltī hai kisī guzre zamāne kī havā
raakh hotī huī yādoñ pe qadam rakhtā huuñ
mujh meñ rah rah ke ubhartī hai chaTaḳhne kī sadā
jaise TuuTī huī qabroñ pe qadam rakhtā huuñ
haath aa.e bhī to kyā kār-kushā.ī kā sirā
maiñ ki ḳhud apne irādoñ pe qadam rakhtā huuñ
qāfiya tang kiye rahtā huuñ din raat apnā
kis qadar saḳht zamīnoñ pe qadam rakhtā huuñ
ab to yun KHwab ke raston pe qadam rakhta hun
jis tarah apni hi aankhon pe qadam rakhta hun
dekhta hun to dahakte hue angare hain
aur chalta hun to phulon pe qadam rakhta hun
nashsha aisa hai ki hai laghzish-e-pa aankhon mein
laDkhaData hun to shishon pe qadam rakhta hun
andar andar hi koi rah nikalti hui hai
ye jo main apne hi qadmon pe qadam rakhta hun
tharthara uThti hai pani ki tarah dil ki zamin
yaad ke Dolte rasson pe qadam rakhta hun
dil mein chalti hai kisi guzre zamane ki hawa
rakh hoti hui yaadon pe qadam rakhta hun
mujh mein rah rah ke ubharti hai chaTaKHne ki sada
jaise TuTi hui qabron pe qadam rakhta hun
hath aae bhi to kya kar-kushai ka sira
main ki KHud apne iradon pe qadam rakhta hun
qafiya tang kiye rahta hun din raat apna
kis qadar saKHt zaminon pe qadam rakhta hun
- Book : Mohabbat Jab Nahin Hogi (Pg. 107)
- Author : Aftab Husain
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.