abhi roya abhi hansne laga hun
abhī royā abhī hañsne lagā huuñ
to kyā sach-much meñ pāgal ho gayā huuñ
abhī maiñ apne ghar meñ so rahā thā
abhī maiñ ghar se be-ghar ho gayā huuñ
inhīñ logoñ se mil kar ḳhush huā thā
inhīñ logoñ se Dartā phir rahā huuñ
mire apne hī mujh ko mārte haiñ
maiñ apnī hī shikāyat kar rahā huuñ
yahīñ jiinā yahīñ marnā hai mujh ko
burā kyā hai agar maiñ mar rahā huuñ
ġhazal kahne ko jī chāhā na 'alvī'
to apnā marsiya hī kah rahā huuñ
abhi roya abhi hansne laga hun
to kya sach-much mein pagal ho gaya hun
abhi main apne ghar mein so raha tha
abhi main ghar se be-ghar ho gaya hun
inhin logon se mil kar KHush hua tha
inhin logon se Darta phir raha hun
mere apne hi mujh ko marte hain
main apni hi shikayat kar raha hun
yahin jina yahin marna hai mujh ko
bura kya hai agar main mar raha hun
ghazal kahne ko ji chaha na 'alwi'
to apna marsiya hi kah raha hun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 63)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.