abhi se ek kitab ke hisar mein ho tum sabhi
abhī se ik kitāb ke hisār meñ ho tum sabhī
ghise-piTe nisāb ke ḳhumār meñ ho tum sabhī
ye maiñ huuñ apnī gumrahī kī siidh meñ khaḌī huī
ki gardish-e-shahāb kī qatār meñ ho tum sabhī
'ajab nahīñ chaman se ruuTh jaa.eñ saarī ḳhushbueñ
jo is tarah gulāb ke shikār meñ ho tum sabhī
agar tumheñ lage vo hoñT jhuuT bolte nahīñ
to maan lo 'azāb kī pukār meñ ho tum sabhī
ḳhudā kisī bhī rabt kā subūt māñgtā nahīñ
vagarna kis hisāb ke shumār meñ ho tum sabhī
suno ai kā.enāt se pare ke silsilo suno
mire diye ḳhitāb ke madār meñ ho tum sabhī
ye raushnī ba-silsila bayād-e-raftagān hai
jame hue sarāb kī phuhār meñ ho tum sabhī
abhi se ek kitab ke hisar mein ho tum sabhi
ghise-piTe nisab ke KHumar mein ho tum sabhi
ye main hun apni gumrahi ki sidh mein khaDi hui
ki gardish-e-shahab ki qatar mein ho tum sabhi
'ajab nahin chaman se ruTh jaen sari KHushbuen
jo is tarah gulab ke shikar mein ho tum sabhi
agar tumhein lage wo honT jhuT bolte nahin
to man lo 'azab ki pukar mein ho tum sabhi
KHuda kisi bhi rabt ka subut mangta nahin
wagarna kis hisab ke shumar mein ho tum sabhi
suno ai kaenat se pare ke silsilo suno
mere diye KHitab ke madar mein ho tum sabhi
ye raushni ba-silsila bayaad-e-raftagan hai
jame hue sarab ki phuhaar mein ho tum sabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.