achchha to hai magar hamein achchha nahin laga
achchhā to hai magar hameñ achchhā nahīñ lagā
ye shahr jis meñ koī bhī apnā nahīñ lagā
marne ke intizār meñ baiThe the aaj bhī
number to lag rahe the par apnā nahīñ lagā
kaise uThā.e phirte haiñ jismoñ kā bojh sab
ham ko to dil kā bojh bhī halkā nahīñ lagā
ab haath mat lagā yūñhī ukhḌā rahe ye rang
ai zindagī tū ab mujhe chūnā nahīñ lagā
baiThe hue haiñ ḳhaak pe ḳhalvat kī chhāoñ meñ
sahrā bhī mere jaisoñ ko sahrā nahīñ lagā
ham hī samajh sake na kabhī zindagī ko yaar
jab tak tumhārī taar se jhaTkā nahīñ lagā
apnī jahāñ pahuñch thī vahāñ tak pahuñch ga.e
ye aur baat hai abhī katba nahīñ lagā
achchha to hai magar hamein achchha nahin laga
ye shahr jis mein koi bhi apna nahin laga
marne ke intizar mein baiThe the aaj bhi
number to lag rahe the par apna nahin laga
kaise uThae phirte hain jismon ka bojh sab
hum ko to dil ka bojh bhi halka nahin laga
ab hath mat laga yunhi ukhDa rahe ye rang
ai zindagi tu ab mujhe chuna nahin laga
baiThe hue hain KHak pe KHalwat ki chhaon mein
sahra bhi mere jaison ko sahra nahin laga
hum hi samajh sake na kabhi zindagi ko yar
jab tak tumhaari tar se jhaTka nahin laga
apni jahan pahunch thi wahan tak pahunch gae
ye aur baat hai abhi katba nahin laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.