agni kunDal mein hath Dala hai
agnī kunDal meñ haath Daalā hai
kyoñ mirī aasnī pe baiThā hai
chāñd ḳhasta palang ke uupar
Tāñgeñ laTkā.e gungunātā hai
dil vo ḳhāshāk kī hai chhat jis meñ
kuchh abābīloñ kā baserā hai
ai mire pahle 'ishq ke bālak
kyā ye sach hai ki tū kuñvārā hai
tū kabūtar hai yā koī maktūb
merī umrāo-jān-adā kā hai
jin ko tū shāḳh se uḌātī thī
un parindoñ ne zahr khāyā hai
yahī āsār haiñ qayāmat ke
'ishq ko vārisoñ ne maarā hai
ek kaale kaThor bādal ne
kyoñ dhanak kā suhāg luuTā hai
aadmī ke uḌātā hai purze
'ishq bārūd kā dhamākā hai
kā.enāt ik kitāb hai jis meñ
mere mazmūn kā ḳhulāsa hai
raat kuchh der hosh aayā to
'mīr' sāhib ne pahlū badlā hai
surḳh Dorā hai aañkh meñ jaise
gul-muhar par charāġh jaltā hai
tū ne yādoñ kī minjanīqoñ se
dil kī bastī ko gher rakkhā hai
kar ke paidā suḳhan ne dushman haa.e
kis musībat meñ mujh ko Daalā hai
sabz hone lagī hai vo khaa.ī
jis meñ tū ne mujhe dhakelā hai
jaane kin ḳhvāb-nāk jhīloñ se
sārasoñ ne mujhe pukārā hai
kyoñ rakhā hai lapeT ke siina
kuchh batā is samor meñ kyā hai
ham se pūchho firāq ke sadme
ham ne tanhā.iyoñ ko bhogā hai
chāñdnī ke udaas jangal se
aaj koī guzarne vaalā hai
chāñd jab Dūbne lagā hai 'shafaq'
duur ufuq par ġhubār chamkā hai
agni kunDal mein hath Dala hai
kyon meri aasni pe baiTha hai
chand KHasta palang ke upar
Tangen laTkae gungunata hai
dil wo KHashak ki hai chhat jis mein
kuchh ababilon ka basera hai
ai mere pahle 'ishq ke baalak
kya ye sach hai ki tu kunwara hai
tu kabutar hai ya koi maktub
meri umrao-jaan-ada ka hai
jin ko tu shaKH se uDati thi
un parindon ne zahr khaya hai
yahi aasar hain qayamat ke
'ishq ko warison ne mara hai
ek kale kaThor baadal ne
kyon dhanak ka suhag luTa hai
aadmi ke uData hai purze
'ishq barud ka dhamaka hai
kaenat ek kitab hai jis mein
mere mazmun ka KHulasa hai
raat kuchh der hosh aaya to
'mir' sahib ne pahlu badla hai
surKH Dora hai aankh mein jaise
gul-muhar par charagh jalta hai
tu ne yaadon ki minjaniqon se
dil ki basti ko gher rakkha hai
kar ke paida suKHan ne dushman hae
kis musibat mein mujh ko Dala hai
sabz hone lagi hai wo khai
jis mein tu ne mujhe dhakela hai
jaane kin KHwab-nak jhilon se
sarason ne mujhe pukara hai
kyon rakha hai lapeT ke sina
kuchh bata is samor mein kya hai
hum se puchho firaq ke sadme
hum ne tanhaiyon ko bhoga hai
chandni ke udas jangal se
aaj koi guzarne wala hai
chand jab Dubne laga hai 'shafaq'
dur ufuq par ghubar chamka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.