aire-ghaire pe kahan us ka pata khulta hai
aire-ġhaire pe kahāñ us kā pata khultā hai
ḳhud vo khulne pe agar aa.e baḌā khultā hai
tum kabhī us se mohabbat kā taqāzā to karo
harf-e-imkān se hī bāb-e-du'ā khultā hai
kitnī āsānī se khultī hai parat duniyā kī
kitnī mushkil se tirā band-e-qabā khultā hai
ḳhaak khulnā hai muqaddar kā sitārā us par
jis pe banda nahīñ khultā to ḳhudā khultā hai
naam 'abbās se hī log samajh jaate haiñ
ye vo darvāza hai jo sū-e-vafā khultā hai
aire-ghaire pe kahan us ka pata khulta hai
KHud wo khulne pe agar aae baDa khulta hai
tum kabhi us se mohabbat ka taqaza to karo
harf-e-imkan se hi bab-e-du'a khulta hai
kitni aasani se khulti hai parat duniya ki
kitni mushkil se tera band-e-qaba khulta hai
KHak khulna hai muqaddar ka sitara us par
jis pe banda nahin khulta to KHuda khulta hai
nam 'abbas se hi log samajh jate hain
ye wo darwaza hai jo su-e-wafa khulta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.