ajab hai khiDki nainon ki jo band karun to dekhun sab
'ajab hai khiḌkī nainoñ kī jo band karūñ to dekhūñ sab
itnā nuur hai bhītar mere jaise bhītar baiThā rab
hazrat mere hue haiñ jab se maiñ itrā.ī phirtī huuñ
kitnī daulat paa.ī maiñ ne din sonā hai chāñdī shab
bhītar baiThā ḳhud ko nihāre aur kare aTkhel ka.ī
sāñsoñ kī lahroñ meñ Duube ubhre aur dikhlā.e chhab
haule-haule ḳhuun kī gardish dil ke daf ko thapkā.e
dil shah-rag pe kare savārī aur ḳhud hī jhūme be-Dhab
pyārī thoḌā dekh ke chalnā kachche ghaḌe se paar na kar
dariyā 'ishq kā hai tūfānī jaan hathelī par hai ab
koī koī hī is maktab se paas kī degrē letā hai
ek baar jo aa.e yaañ par phir vo yaañ se jaa.e kab
'ajab hai khiDki nainon ki jo band karun to dekhun sab
itna nur hai bhitar mere jaise bhitar baiTha rab
hazrat mere hue hain jab se main itrai phirti hun
kitni daulat pai main ne din sona hai chandi shab
bhitar baiTha KHud ko nihaare aur kare aTkhel kai
sanson ki lahron mein Dube ubhre aur dikhlae chhab
haule-haule KHun ki gardish dil ke daf ko thapkae
dil shah-rag pe kare sawari aur KHud hi jhume be-Dhab
pyari thoDa dekh ke chalna kachche ghaDe se par na kar
dariya 'ishq ka hai tufani jaan hatheli par hai ab
koi koi hi is maktab se pas ki degree leta hai
ek bar jo aae yan par phir wo yan se jae kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
 
                         
 