ajab KHauf sa dil pe chha jaega
'ajab ḳhauf sā dil pe chhā jā.egā
dhamāka parinde uḌā jā.egā
mohabbat meñ jī kā ziyāñ hī sahī
kisī kā magar is meñ kyā jā.egā
chhupā kar na āñkhoñ meñ rakh pāoge
koī ḳhvāb nīñdeñ churā jā.egā
abhī mood hai she'r sun lo miyāñ
phir ham se na kuchh bhī kahā jā.egā
are yaar 'alvī' ko roko zarā
maza maar ke sab chalā jā.egā
'ajab KHauf sa dil pe chha jaega
dhamaka parinde uDa jaega
mohabbat mein ji ka ziyan hi sahi
kisi ka magar is mein kya jaega
chhupa kar na aankhon mein rakh paoge
koi KHwab ninden chura jaega
abhi mood hai she'r sun lo miyan
phir hum se na kuchh bhi kaha jaega
are yar 'alwi' ko roko zara
maza mar ke sab chala jaega
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 47)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.