ajab sa ye tamasha ho raha hai
'ajab sā ye tamāshā ho rahā hai
jo sīdhā thā vo ulTā ho rahā hai
hamārī pyaas baḌhtī jā rahī hai
ye dariyā aur gahrā ho rahā hai
hamāre baa'd kyā hai jo na hogā
hamāre hote bhī kyā ho rahā hai
ye kis ke dhyān meñ masrūf huuñ maiñ
galī meñ koī jhagḌā ho rahā hai
purāne log hairāñ ho rahe haiñ
na.ī duniyā meñ ye kyā ho rahā hai
khulī rahne do ghar kī khiḌkiyoñ ko
hamārā muuD achchhā ho rahā hai
'ajab sa ye tamasha ho raha hai
jo sidha tha wo ulTa ho raha hai
hamari pyas baDhti ja rahi hai
ye dariya aur gahra ho raha hai
hamare ba'd kya hai jo na hoga
hamare hote bhi kya ho raha hai
ye kis ke dhyan mein masruf hun main
gali mein koi jhagDa ho raha hai
purane log hairan ho rahe hain
nai duniya mein ye kya ho raha hai
khuli rahne do ghar ki khiDkiyon ko
hamara muD achchha ho raha hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 51)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.