ajib KHauf hai kuchh baat hone wali hai
'ajīb ḳhauf hai kuchh baat hone vaalī hai
gharoñ ko lauT chalo raat hone vaalī hai
'ajīb tarh kī ik khalbalī hai sāñsoñ meñ
na jaane kis se mulāqāt hone vaalī hai
hamārā kaam hai chalnā hameñ ye kab mā'lūm
kahāñ hai sub.h kahāñ raat hone vaalī hai
na mujh se koī karāmāt ho sakī ab tak
na mujh se koī karāmāt hone vaalī hai
ye saarā khel to pahle hī ho chukā hai tai
so ye bhī tai hai kise maat hone vaalī hai
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai tujhe pata hī nahīñ
jo vārdāt tire saath hone vaalī hai
'ajib KHauf hai kuchh baat hone wali hai
gharon ko lauT chalo raat hone wali hai
'ajib tarh ki ek khalbali hai sanson mein
na jaane kis se mulaqat hone wali hai
hamara kaam hai chalna hamein ye kab ma'lum
kahan hai subh kahan raat hone wali hai
na mujh se koi karamat ho saki ab tak
na mujh se koi karamat hone wali hai
ye sara khel to pahle hi ho chuka hai tai
so ye bhi tai hai kise mat hone wali hai
tujhe KHabar hi nahin hai tujhe pata hi nahin
jo wardat tere sath hone wali hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 85)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.