ajib mauj-e-junun par sawar ho gaya tha
'ajīb mauj-e-junūñ par savār ho gayā thā
phir us ke baa'd maiñ be-iḳhtiyār ho gayā thā
mire vujūd meñ phir ishtihār lagne lage
ki daf'atan koī mujh meñ farār ho gayā thā
us ek husn kī aamad huī thī āñkhoñ meñ
mirā dhaḌaktā huā dil ġhubār ho gayā thā
nishāna mujh pe lagā hai faqat mire dil kā
jahāñ ke tiir se to hoshiyār ho gayā thā
lagā thā pahlī nazar meñ sabhī ko maiñ mub.ham
dubāra dekhne par āshkār ho gayā thā
'ajib mauj-e-junun par sawar ho gaya tha
phir us ke ba'd main be-iKHtiyar ho gaya tha
mere wujud mein phir ishtihaar lagne lage
ki daf'atan koi mujh mein farar ho gaya tha
us ek husn ki aamad hui thi aankhon mein
mera dhaDakta hua dil ghubar ho gaya tha
nishana mujh pe laga hai faqat mere dil ka
jahan ke tir se to hoshiyar ho gaya tha
laga tha pahli nazar mein sabhi ko main mubham
dubara dekhne par aashkar ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.