andarun sarsari ek shor uTha hai mujh mein
andarūñ sarsarī ik shor uThā hai mujh meñ
aap hī koī balā huuñ yā balā hai mujh meñ
ātish-e-sozāñ meñ tabdīl hue jaatā hai
ik sharāra jo tah-e-ḳhāk chhupā hai mujh meñ
pusht pe bāñdh ke chaltī huuñ maiñ dushvārī ko
ġham-e-daurāñ tirā ambār lagā hai mujh meñ
saañs lete hue dam ghuTtā hai maddham maddham
kaisī ālūda-zada phailī fazā hai mujh meñ
jis ko maiñ chhoḌ ke aa.ī huuñ abhī maqtal meñ
us pe rone ko 'azādār paḌā hai mujh meñ
merā hai she'r magar mujh ko hī mā'lūm nahīñ
ye alamnāk sadā kis kī sadā hai mujh meñ
sar-e-manzar jo dikhā thā vo alag thā bilkul
pas-e-manzar jo dikhā hai vo nayā hai mujh meñ
andarun sarsari ek shor uTha hai mujh mein
aap hi koi bala hun ya bala hai mujh mein
aatish-e-sozan mein tabdil hue jata hai
ek sharara jo tah-e-KHak chhupa hai mujh mein
pusht pe bandh ke chalti hun main dushwari ko
gham-e-dauran tera ambar laga hai mujh mein
sans lete hue dam ghuTta hai maddham maddham
kaisi aaluda-zada phaili faza hai mujh mein
jis ko main chhoD ke aai hun abhi maqtal mein
us pe rone ko 'azadar paDa hai mujh mein
mera hai she'r magar mujh ko hi ma'lum nahin
ye alamnak sada kis ki sada hai mujh mein
sar-e-manzar jo dikha tha wo alag tha bilkul
pas-e-manzar jo dikha hai wo naya hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.